اردو हिंदी
Jashn-e-azadi | Shaahi Shayari
jashn-e-azadi

Nazm

Jashn-e-azadi

Sarfaraz Shahid

;

kaam jo rishwat se ban jae banana chahiye
chor-bazari mein kala dhan kamana chahiye

dudh mein pani ba-azadi milana chahiye
jis se matlab ho use makkhan lagana chahiye

dosto! yun jashn-e-azadi manana chahiye?
chawal aur gandum na kuchh faulad paida kijiye

nisf darjan kam se kam aulad paida kijiye
masale phir aap la-tadad paida kijiye

mahir-e-mansuba-bandi ko bhagana chahiye
dosto! yun jashn-e-azadi manana chahiye?

mang hai stereo ki aur w-c-r ki
KHair ho ab audio wideo ke karobar ki

shakl milne lag gai happy se bar-KHurdar ki
jis ke lap par har ghaDi disko tarana chahiye

dosto! yun jashn-e-azadi manana chahiye?
rickshaw o taxy ka meter tez hona chahiye

nursery ka master angrez hona chahiye
aqd ka mear itna rase hona chahiye

zindagi ka partner misl-e-diyana chahiye
dosto! yun jashn-e-azadi manana chahiye?

ji mein jo aae kiye jao ki tum aazad ho
motaren tezi se dauDao ki tum aazad ho

hadsa kar ke khisak jao ki tum aazad ho
dhar liye jao to fauran makmakana chahiye

dosto! yun jashn-e-azadi manana chahiye?
aaj is andaz ko yaksar badalna hai hamein

hum bahut bigDe hain lekin ab sanwarna hai hamein
des ki KHatir hi jina aur marna hai hamein

jo na ab tak ho saka ab kar dikhana chahiye
dosto! yun jashn-e-azadi manana chahiye?