is hawas mein ki pukare jaras-e-gul ki sada
dasht-o-sahra mein saba phirti hai yun aawara
jis tarah phirte hain hum ahl-e-junun aawara
hum pe waraftagi-e-hosh ki tohmat na dharo
hum ki rummaz-e-rumuz-e-gham-e-pinhani hain
apni gardan pe bhi hai rishta-fagan KHatir-e-dost
hum bhi shauq-e-rah-e-dildar ke zindani hain
jab bhi abru-e-dar-e-yar ne irshad kiya
jis bayaban mein bhi hum honge chale aaenge
dar khula dekha to shayad tumhein phir dekh saken
band hoga to sada de ke chale jaenge
Nazm
Jaras-e-gul ki sada
Faiz Ahmad Faiz