jangali libas mein ek paikar-e-gudaz
chal raha hai jhaDiyon mein sanp jhum jhum kar
uD raha hai mor apne baal chum chum kar
jhil mangne lagi sham ki hawa se saz
ek bar tin bar
dast-e-sandali uThe
panw lahar kha gae
jism-e-naz ke sharar
jhil ke kinare mast ho ke nachne lage
jangali jawan sham ko sukun pa gae
jhonpaDon se apne apne saz le ke aa gae
aasman se chand aur sitare jhankne lage
chandni mein jag uThi
so rahi thi subh se
bol kaise KHwab the?
mere budh ki murti
jhaDiyon se surKH zard phul toD toD kar
ek bar tin bar aur ab to bar-bar
murti pe jangali hasina karti hai nisar
chashm o lab ke raqs par hath moD moD kar
raqs ki sharab mein
mor mast ho gaya
sanp jaise so gaya
aks-e-mahtab mein
ek paikar-e-gudaz aur nachne laga
Dholakon ki mast chiKH aur tez ho gai
jangali hasina aur shoala-rez ho gai
murti ka dewta KHud hi muskura uTha
aur jaise chaunk kar
raqs band ho gaya
kis qadar ghurur tha
kaamyab raqs par
Nazm
Jangali nach
Salam Machhli shahri