pahaDi raston par
lakDiyon ki gaThriyan sar par sambhaale
ja raha hai aadi-wasi auraton ka qafila
ye qafila kuchh dur ja kar
ganw ke bazar mein Thahrega
aur phir lakDiyan sar se utari jaengi
KHubsurat jangalon se kaT kar
lai gai ye lakDiyan
bazar ki zinat banengi
lakDiyon ka bojh Dho kar
lane wali aurten
KHamosh rah kar
dil hi dil mein
apne haTTe-kaTTe mardon ki
jawan-mardi ke naghme gaengi
aur ganw ke bazar se kuchh dur
un ke mard
apni tez kulhaDi se
jangal ka safaya karne mein
masruf honge
ye wahi jangal hai jis ka husn
qaem tha inhin shaidaiyon se
zarre zarre mein
isi jangal ke goshe goshe mein
shaidaiyon ki ruh basti thi
isi jangal mein un ka jism laghar ho chala hai
aur apni zindagi ko
baqi rakhne ka yahi ek rasta
in ko nazar aaya hai
jangal KHatm kar ke KHud wo jina chahte hain
hum taraqqi ke hazaron dawe
karne wale danish-mand
andar se bahut hi khokhle hain
Nazm
Jangal ki lakDiyan
Rashid Anwar Rashid