اردو हिंदी
Jangal ki aag | Shaahi Shayari
jangal ki aag

Nazm

Jangal ki aag

Ahmad Nadeem Qasmi

;

aag jangal mein lagi thi lekin
bastiyon mein bhi dhuan ja pahuncha

ek uDti hui chingari ka
saya phaila to kahan ja pahuncha

tang galiyon mein umaDte hue log
go bacha lae hain jaanen apni

apne sar par hain janaze apne
apne hathon mein zabanen apni

aag jab tak na bujhe jangal ki
bastiyon tak koi jata hi nahin

husn-e-ashjar ke matwalon ko
husn-e-insan nazar aata hi nahin