nind ke pas ek raat hai
mere pas ek kahani hai
jangal ke pas ek aurat thi
aurat bachcha paida karne ke dard se mar rahi thi
ek shikari wahan pahunch gaya
aur bachche ki aankhon ke ewaz
aurat ki madad karne par aamada ho gaya
aurat ne juDwan bachche jane
shikari ke hath
aankhon ki do joDiyan aain
is waqt sikke ijad nahin hue the
ek joDi aankh ke badle
zindagi bhar ka saman KHarida ja sakta tha
jo log dusron ki aankhen hasil nahin kar sakte
apni aankhon ka sauda kar lete
har saude ki tarah
bechte waqt
aankhon ki sirf aadhi qimat hasil hoti thi
aankhen bechne wale
sirf aadhi zindagi KHarid sakte the
aurat ne shikari se juda ho kar
apne bachchon ko jangal mein chhoD diya
jaisa ki us ne apne shauhar ko
samundar mein chhoD diya tha
bachche bheDiyon mein pal kar baDe hue
un mein se har ek
dusre ko
apni man ki kokh ka ghasib
aur apni aankhon ke saude ka bais samajhne laga
jab
bailon mein panw TuTne ki bimari phail jaane ki wajh se
andhe ghulamon ki mang baDh gai
ek burda-farosh
unhin bheDiyon ki ghol se chura le gaya
zamin mein jute hue andhe bhai
hal le kar itni muKHalif samt mein chalte ki
un ke aaqa ko
KHuda se darKHwast kar ke
ek khaDkhaDane wala sanp un ke pichhe lagana paDa
main bahut dinon pahle
us shahr ka muhasara karne aaya tha
mere parcham par rahne wala uqab uD gaya
mere sipahiyon ne
apni talwaren Taksalon mein bech din
ghoDe ne apni khaal
mashkiza banane wale ko hadiya kar di
shahar ki diwaron mein
shigaf kahan hai
ye us ke charwahon ko bhi malum hai
aur un ki bheDon ko bhi
magar ye jang
ghaddaron aur chau-pawn ko bhi KHarid kar nahin jitna chahta
main samundaron ko kashtiyon se
aur talwar ko talwar se napta hun
main ghulam aurat ka
ghulam mard se paida hui aulad nahin
jo ek ghulam shaKH se kaman
aur dusre ghulam shaKH se tir banata hai
main us khaDkhaDane wale sanp ko kuchal dunga
aur juDwan bhaiyon ke kandhe se juta utar kar
use gahri khai mein phenk dunga
main unhen le kar jangal mein nikal aaunga
aur us shikari ko talash karunga
jo bachcha paida karne ke ewaz us ki aankhen talab karta hai
aur us man ko talash karunga
jo baghair aankhon ke bachche ko chhoD kar bhag jati hai
ek din bechi hui aankhen
shikari se sauda-karda shaKHs ko pahchan lengi
aur andhe bachche
us aadmi se aahani aankhen chhin kar
apne shikari ko DhunDh nikalenge
aur shikari se us aurat ka pata puchh kar rahenge
jo unhen jangal mein chhoD kar chali gai thi
chahe wo aurat meri biwi hi kyun na ho
Nazm
Jangal ke pas ek aurat
Afzal Ahmad Syed