اردو हिंदी
Jangal hum aur kale baadal | Shaahi Shayari
jangal hum aur kale baadal

Nazm

Jangal hum aur kale baadal

Abu Bakr Abbad

;

aaya ek hawa ka jhonka
yaaden bahut si le aaya

raat ke sannaTe ki KHushbu
ujli subh ki chahkaren

sabz mulaem patton wale bhige tanon ka taza lams
unche ghane jangal ke andar

sanp se bal khate raston par
honTon pe aankhon mein sajae

jhijak KHalish ki titli ko
mera us ka tanha saya

wo lamha bhi yaad aaya jab
hum jaise hi bhule-bhaTke

kale mast siyah baadal
dharti se milne ki KHatir

baras paDe the peDon par
phir kaisi saat thi aai

KHauf na tha gum hone ka
tanha tanha chalne ka

jangal mein kho jaane ka