tirgi mein bhayanak sadaen uThin
aur dhuan sa fazaon mein lahra gaya
maut ki si sapedi ufuq-ta-ufuq
tilmilane lagi
aur phir ek dam
siskiyan chaar-su tharthara kar uThin
ek man sina-kubi se thak kar giri
ek bahan apni aankhon mein aansu liye
rah takti rahi
ek nanha khilaune ki ummid mein
sar ko dahliz par rakh ke sota raha
ek masum surat dariche se sar ko lagae hue
KHwab bunti rahi
muntazir thin nigahen baDi der se
muntazir hi rahin
maut ki si sapedi ufuq-ta-ufuq
tilmilati rahi
Nazm
Jang
Balraj Komal