bahu kahe ye buDhiya meri jaan ki lagu ban ke rahegi
sas kahe gaz-bhar ki zaban hai apni munh aai hi kahegi
bahu kahe jab dekho jab hi KHwahi naKHwahi baat baDhana
sas pukare ai mere allah tauba bhali ab tu hi bachana
bahu kahe apna ghar kaisa yan to apne bhi hain parae
sas kahe jal-bhun ke use to raj-mahal bhi ras na aae
bahu kahe jis ke hathon hai Doi usi ka sab koi hai
sas pukare jao ji jao panw ki juti sar pe chaDhi hai
bahu kahe mujh janm-jali ko kis ke palle bandh diya hai
sas kahe ab kaun batae aage jo aaya hai kis ka kya hai
bahu kahe ye put ki dardi bas jo chale to bis hi khila de
sas kahe wo baat hai apni gali sune aur phir bhi dua de
bahu kahe ab sar pe paDi hai jaise bhi ho guzar jaegi
sas kahe jab dekho is ko dudh malida hi khaegi
bahu kahe ji jo aata tha sas ke samne bol rahi thi
sas bhi lekin turki-ba-turki bhed bahu ke khol rahi thi
nanhe ne ye mauqa taDa jhaT bawarchi-KHane pahuncha
dudh pe aai thi jo milai chupke se us ko khane pahuncha
kha ke jo lauTa rah mein us ne kali billi jate pai
dekh ke us ko Dar ke mare zor ki us ne chiKH lagai
ek hi chiKH ne us ki pal mein sas bahu ka jhagDa chukaya
dauDi bahu mere lal hua kya sas pukari hae KHudaya
Nazm
Jang ka anjam
Meeraji