main TeDhi pasli ka gustaKH janam hun
jis ke halqon mein bad-tahzib chiKHon ka hujum
baghair ittilaa diye
naqqara-e-be-aman ka rag alapta hai
phunkta hai aankh aankh mein
dhuan adh-jale talluqat ka
mujhe pathrile ehsas ke panghoDon mein khilaya gaya
sikhai gai be-tartib zindagi ki bandar-banT
qallash logon ke darmiyan
phenka gaya be-dhyani se
kaun jaane
zindagi ki uTha-paTaKH main kitne aabgine chakna-chur hue
kis ne maqruz dastaron pe uTha rakha hai
pairon mein rondi hui
jannat ka azab
Nazm
Janam-kade mein na-jaez aankhen
Sidra Sahar Imran