das karoD insano!
zindagi se begano!
sirf chand logon ne
haq tumhaara chhina hai
KHak aise jine par
ye bhi koi jina hai
be-shuur bhi tum ko
be-shuur kahte hain
sochta hun ye nadan
kis hawa mein rahte hain
aur ye qasida-go
fikr hai yahi jin ko
hath mein alam le kar
tum na uTh sako logo
kab talak ye KHamoshi
chalte-phirte zindano
das karoD insano!
ye milen ye jagiren
kis ka KHun piti hain
barackon mein ye faujen
kis ke bal pe jiti hain
kis ki mehnaton ka phal
dashtaen khati hain
jhonpaDon se rone ki
kyun sadaen aati hain
jab shabab par aa kar
khet lahlahata hai
kis ke nain rote hain
kaun muskuraata hai
kash tum kabhi samjho
kash tum kabhi samjho
kash tum kabhi jaano
das karoD insano!
ilm-o-fan ke raste mein
laThiyon ki ye baDen
collegon ke laDkon par
goliyon ki bauchhaDen
ye kirae ke ghunDe
yaadgar-e-shab dekho
kis qadar bhayanak hai
zulm ka ye Dhab dekho
raqs-e-atish-o-ahan
dekhte hi jaoge
dekhte hi jaoge
hosh mein na aaoge
hosh mein na aaoge
ai KHamosh tufano!
das karoD insano!
saikDon hasan nasir
hain shikar nafrat ke
subh-o-sham luTte hain
qafile mohabbat ke
jab se kale baghon ne
aadmi ko ghera hai
mishalen karo raushan
dur tak andhera hai
mere des ki dharti
pyar ko tarasti hai
pattharon ki barish hi
is pe kyun barasti hai
mulk ko bachao bhi
mulk ke nigahbano
das karoD insano!
bolne pe pabandi
sochne pe taziren
panw mein ghulami ki
aaj bhi hain zanjiren
aaj harf-e-aKHir hai
baat chand logon ki
din hai chand logon ka
raat chand logon ki
uTh ke dard-mandon ke
subh-o-sham badlo bhi
jis mein tum nahin shamil
wo nizam badlo bhi
doston ko pahchano
dushmanon ko pahchano
das karoD insano!
Nazm
Jamhuriyat
Habib Jalib