jamaliyat ka naqqad jitna hairan hai
wo bab-e-husn mein bhi utna hi pareshan hai
jamaliyat mein kya hai jo KHud nahin fan mein
jamaliyat ka mahwar nashat-e-dauran hai
jamaliyat ko farhang mein karo na talash
jamaliyat mein zulf-e-suKHan ki afshan hai
jamaliyat ko uslub mein shumar karo
jamaliyat mein har fard ek dabistan hai
jamaliyat taghayyur-pazir hissiyat
jamaliyat mein sahra bhi ek gulistan hai
jamaliyat saqafat ka haft rang libas
jo rang o nasl ki tafriq se gurezan hai
jamaliyat badalte hain mah-o-sal ke sath
jamaliyat mein tariKH-e-fikr-e-insan hai
jamaliyat hain taKHliq fan ka sar chashma
adib adab ke liye KHud jamal saman hai
jamaliyat mein hai husn-e-kar ka jadu
jamaliyat ki tasKHir kar-e-mardan hai
koi usul nahin husn ke parakhne ka
kahin KHizan hai hasin aur kahin bahaaran hai
jahan mein jitne hain fankar utni tarah ke husn
to kya bandhe Tike meyar-e-nau ka imkan hai
badalta rahta hai meyar-e-husn husn ke sath
to kis liye koi naqqad-e-fan pareshan hai
Nazm
Jamaliyat
Wamiq Jaunpuri