kahan se aa gain ranginiyan tamanna mein
ki phir KHayal ne lale khilae sahra mein
teri nigah se meri nazar mein masti hai
tere jamal mein maujen hain us ke dariya mein
ye ho raha hai guman tere jism-e-KHubi par
bhaTak ke hur chali aai ho na duniya mein
nazar se kuchle hue motiyon ki jhalkaren
labon pe rang jo milta hai jam-o-mina mein
wo muskuraate se aankhon mein be-shumar kanwal
wo kasmasati adaen tamam aaza mein
napa-tula sa tabassum jachi hui si nazar
sani sani si wo palken ghubar-e-surma mein
wo narm nima se kundan badan ki rang-tarang
bani hui si wo kirnen libas-e-zeba mein
jo goshe goshe mein pinhan hai us ke rah-e-gurez
KHayal gum hua jata hai qadd-e-rana mein
qadam qadam pe wahi tamkanat ka ek sawal
hai koi dusra hum sa sawad-e-ganga mein
bata main tujh se kahun kya ba-juz wo shauq ki baat
ki Dal rakkha hai jis ko jawaz-e-mani mein
jamal-e-yar latif aarzu hai us se latif
ye aai hai na wo aaega harf-e-sada mein
Nazm
Jamal
Masud Husain Khan