tamam auraq shabnamistan-e-sahar ki kirnon se jagmagae
tulua hoti hai subh jaise kali tamanna ki muskurae
kahin daraKHton mein ghol chiDiya ka baiTh kar chahchaha raha hai
kahin se toton ka jhunD uTTha faza-e-gulshan mein ghul machae
saDak jo aati hai chhawni se chahal-pahal us pe KHub hi hai
nikal ke gunjaan bastiyon se bara-e-tafrih sab hain aae
usi pe aata hai ek motor bhi Dak-KHane ki Dak lene
usi pe jate hain kuchh dehati ladi hui gaDiyan hakae
Tahalne jati hain laDkiyan kuchh hasin phulon ki kyariyon mein
nigah-jadu shabab-jadu jo aankh Dale wo luT hi jae
idhar se ganga ko ja rahe hain kuchh aadmi chhagalen sambhaale
udhar se ganga se aa rahi hai kuchh aurten nur mein nahae
udhar se collage ki ek laDki bhi apne collage ko ja rahi hai
kitab dabe qadam baDhae shabab thame nazar jhukae
udhar se ek naujawan lady nae KHayalon ki aa rahi hai
nigah-e-raqsan shabab uryan jo is ko dekhe wo muskurae
udhar se shair 'nushur'-e-hairan bhi apni sairon mein ja raha hai
qadam taKHayyul mein Dagmagae nae shababon se choT khae
Nazm
Jalwa-e-sahar
Nushur Wahidi