qatra qatra Tapak raha hai lahu
lamha lamha pighal rahi hai hayat
mere zanu pe rakh ke sar apna
ro rahi hai udas tanhai
kitna gahra hai dard ka rishta
kitna taza hai zaKHm-e-ruswai
hasraton ke darida daman mein
jaane kab se chhupae baiTha hun
dil ki mahrumiyon ka sarmaya
TuTe-phuTe sharab ke saghar
mom-batti ke adh-jale TukDe
kuchh tarashe shikasta nazmon ke
uljhi uljhi udas tahriren
gard-alud chand taswiren
mere kamre mein aur kuchh bhi nahin
mere kamre mein aur kuchh bhi nahin
waqt ka jhurriyon bhara chehra
kanpta hai meri nigahon mein
kho gai hai murad ki manzil
gham ki zulmat-farosh rahon mein
mere ghar ki purani diwaren
har ghaDi dekhti hain KHwab nae
par meri ruh ke KHarabe mein
kaun aaega itni raat gae
zindagi mehrban nahin to phir
maut kyun dard-ashna hogi
khaTkhaTaya hai kis ne darwaza
dekhna sar-phiri hawa hogi
Nazm
Jalti raat sulagte sae
Prem Warbartani