jab kabhi tum
cigarette jalane ki
koshish karte the
main phunk mar kar
bujha deti thi
kitni bar kaha tha
tum se
ye zindagi
sirf tumhaari nahin hai
mera jo dil hai
wo tumhaare cigarette ke dhuen
se KHarab ho raha hai
aish-tray mein baDhti rakh
se zindagi meri
siyah hui jati hai
bujhaya karo inhen
jalane se pahle
ek kash zindagi ka
bujhi hui cigarette se lagana
main ne sanjo kar rakhe hai
kuchh purane Dabbe cigarette ke
jis par hum ne
zindagi ka plan banaya tha
wo cigarette KHarab ho gai hai
lekin plan abhi bhi
sanjida lagta hai
ab na jalana cigarette
ab main wahan nahin hun
jalti cigarette bujhane ko
Nazm
Jalti cigarette
Kamal Upadhyay