chehra us ka surKH gulab
honT bhare yaqut se hain
jhil si gahri kali aankhen
chand jabin pe rahta hai
zulfon mein ambar ki KHushbu
taj-mahal sa us ka jism
ghunchon se bhari Dali ki tarah wo
lahraati bal khati hai
be-KHaufi be-fikri mein
mast magan si rahti hai
jaise madhuban ki baala
jaise hasina ganw ki
jaisi 'hasrat' ki mahbuba
jaisi pyari shah-'qutub' ki
jaise ghazal wo 'mir' ki ho
han wo bilkul aisi hi hai
han wo meri mashuqa hai
meri hi mashuqa hai wo
Nazm
Jaise madhuban ki baala
Abu Bakr Abbad