kamre ki KHamosh faza mein
ek manus si KHushbu thi
mahki sanson ka sargam tha
kanchan ka ya qurb ki hiddat se nikhri thi
suraj ki ek ek kiran ujli thi
palken bojhal, aankhen band, hawas musaKHKHar
chaDhti dhup mein ek nasha tha
is ka fasana ek likhna tha
kamre ki KHamosh faza KHali thi
qurb ki KHushbu
kanchan kaya
sans ke sargam
sab tahlil hue the
jaise fasana KHatm hua tha
Dhalti dhup mein zahr bujha tha
wo baiTha tha
jaise haari fauj se bichhDa ek sipahi
apni paspai par gum-sum
jism ke upar tegh se likhi tahriron par nadim
soch raha ho zaKHm shumari se kya hasil
ek jhonka tha tez hawa ka aaya aur gaya
wo patthar ke but ki surat, bilkul behis baiTha tha
raat ka lamba gahra saya phail gaya tha
Nazm
Jaise fasana KHatm hua
Raj Narayan Raaz