gandum ki wo boriyan
jo hamare hisse mein aaen
un mein kahaniyan nahin
mare hue kirdar bhare hue the
hum bahut muddat tak talashte rahe
apna jalaya gaya badan
magar koi naqsh mumasil nahin tha
hamare KHal-o-KHad se
ya shayad hamara naqsha pighal chuka tha
jo badan KHud-ba-KHud nahin jalte
balki jhonk diye jate hain
aag ki bal khai hui rassiyon mein
unhen tumhaari ilhami kitab
shahid likhti hai ya mahluk
ho sakta hai hamein kai sau sal pahle tak
zinda rakkha gaya ho reza reza tah mein
magar ab to hamein machis ki tiliyon ki tarah
band rakha gaya hai
makanon ki Dibiyon mein
jahan apne hi lawe mein kholti rahti hai
hamare zehnon ki haya-baKHta baghawat
magar hum shahid ki darjati siDhiyon se
gir ke apahij ho chuke hain
is liye hamein salaKHon ke sunahri jal mein
par phaDphaDane do
kahin aisa na ho
tum hamein soKHta diwaro ki matruk kahaniyan sunao
aur hum machis ki tiliyon ki tarah
bhaDak uThen aur phir
jal ke rakh ho jaen
jali hui tiliyon ki jagah kahan hoti hai?
ye jalane wale se behtar
kaun jaan sakta hai?
Nazm
Jahannam se pahle jahannam
Sidra Sahar Imran