jahan tum ye nazm KHatm karogi
wahan ek daraKHt ug aaega
shikar ki ek muhim mein
tum us ke pichhe ek darinde ko halak karogi
kashti-rani ke din
us se apni kashti bandh sakogi
ek inam-yafta taswir mein
tum us ke samne khaDi nazar aaogi
phir tum use
bahut se daraKHton mein gum kar dogi
aur us ka nam bhul jaogi
aur ye nazm
Nazm
Jahan tum ye nazm KHatm karogi
Afzal Ahmad Syed