jahan main khaDi thi
wahan se qadam, do qadam hi ka rasta tha
jis ja pe mausam badalne ko tayyar baiThe the
mere ye bas mein nahin tha ki main
apni khiDki ke aage pighalte hue
manzaron mein koi
apni marzi ka hi rang bhar dun
KHizan ki akaDti hui zard banhon ko
apne jharoke ke aage ye bad-rang pile manazir
sajaane se hi rok paun
daraKHton ki mazbut shaKHon se daman chhuDate
hue zard patton ko rokun
bikharte hue phul lachkili, sarsabz shaKHon pe phir se KHilaun
hawaon ki pazhmurda sanson mein phir zindagi dauD jae
parindon ki chahkar ubhre, nadi muskurae
jahan main khaDi thi
wahan se qadam, do qadam hi ka rasta tha
raste mein bikhre hue kitne pal the
adhure safar the
magar mere bas mein nahin tha ki main
sare bikhre hue pal hi tartib de dun
masafat ke mare hue raste manzilon se mila dun
ulajhti hui, sar paTaKHti hui tund maujon ke aage kinare bichha dun
jahan main khaDi thi
wahan se qadam, do qadam hi ka rasta tha
jis ja pe duniya thi, Thahra hua waqt tha
jis jagah zindagi thi
magar mere bas mein nahin tha ki main
zindagi se ye kah dun
ki Thahre hue waqt se aage kuchh pal nikalne na pae
ye duniya ko ja ke batae
mujhe sans lene ko thoDi jagah chahiye
waqt ka ek ujala kinara mile
zindagi se kuchh aisa ishaara mile
is zamane ka hi sath sara mile
main use ja ke kah dun
magar mere bas mein nahin tha ki main
apni banhen uThaun
qadam ko baDhaun
nigahon se us ko bulaun
use kah hi paun
ki hai ye qadam, do qadam hi ka rasta
jahan main khaDi hun!
Nazm
Jahan main khaDi thi
Ambarin Salahuddin