abu-bakr abbaad
jahan hum log rahte hain
wahan achchhe-bhale likhe-paDhe hi log baste hain
imarat-e-ilm aur daulat ki azmat husn ko do-baala karti hai
tabassum muskurahaT hi-hello aur ba-zahir KHush-dili ki barish hoti hai
ki jis tezi se yan fashion badalta hai
ghurur-e-husn aur
zehn-o-dil ki saKHt bhi tabdil hoti hai
rizalat buzdili aur asbiyat ko yan
umda kapDon achchhe chehron mein chhupate hain
magar jab ganw jate hain
wahan ke kachche ghar kheton mein baghon mein zara aaram karte hain
uchhalte-kudte bachchon ko aazadi se mard-o-zan ko hanste-bolte jab dekh aate hain
ki har gham aur KHushi achchhe-bure haalat mein wo sachche dil se sath rahte hain
na apne zahir-o-baatin mein koi bhed rakhte hain
jo nafrat hai to nafrat hai mohabbat dil se karte hain
ki man mein jo bhi hota hai zaban se saf kahte hain
magar phir lauT kar jab shahr aate hain
amiron aalimon aur afsaron ke beach rahte hain
to ye mahsus hota hai
ki hum bimar hain lachaar hain tanha aur qallash hain
jahan hum log rahte hain
wahan sare hi aise log baste hain
Nazm
Jahan hum log rahte hain
Abu Bakr Abbad