اردو हिंदी
Jab tarsil baTan tak pahunchi | Shaahi Shayari
jab tarsil baTan tak pahunchi

Nazm

Jab tarsil baTan tak pahunchi

Hanif Tarin

;

kal, tera nama
jo milta tha hamein

us ke alfaz tale
muddaten, maani ki tashrihon mein

lutf ka sail-e-rawan rahta tha
raaten bistar pe

nasha KHwab ka rakh deti thin
itr mein Dubi hui dhup ki paimaish par

chandni nind, ko lori ki thapak deti thi
zehn mein subh o masa

ek ajab farhat-e-nau-rasta safar karti thi
lekin ab qurbaten hain baham

samaat ko magar
phone ki ghanTi ko sunne ko tarasti KHwahish

munqata rabita pane ke liye koshan hai
ungliyan rahti hain

ek ek button par raqsan
yahi mamul hai muddat se

magar, telephone
ek KHamosh sada deta hai

silsila lamhon ka
sadiyon sa bana deta hai