jab tamannaen muskuraati hain
phul banti hain aur mahakti hain
koi chupke se mere sine mein
subh ka nur ghol jata hai
khiDkiyan dil ki khol jata hai
saf-shaffaf se darichon mein
raqs karta hai mahtab koi
dil ki gahraiyon mein girte hi
Dub jata hai aaftab koi
chand aata hai chandni le kar
jhuk ke tare salam karte hain
dil ke zaKHmon ka chand tare bhi
kis qadar ehtiram karte hain
konplen pyar aur mohabbat ki
pattiyan ban ke sarsaraati hain
mishalen shahrah-e-hasti par
gham ke hathon mein jagmagati hain
mishalen pyar aur mohabbat ki
jagmagati hain jhilmilati hain
KHwab banta hai ek haqiqat jab
dil mein ummiden muskuraati hain
koi chupke se mere sine mein
subh ka nur ghol jata hai
khiDkiyan dil ki khol jata hai
Nazm
Jab tamannaen muskuraati hain
Fareed Ishrati