jab sitara thak gaya
gardish se roz-o-shab ki
tu baiTh gaya ghus kar
football stadium mein
cinema-hall mein
shadi ki taqrib mein
janaze ki namaz mein
wo koshish kar raha tha
dekhne ki aur samajhne ki
taki hansana shurua kar de
rone ke maqam par
ya us ke bar-aks
wo aahista aahista sab kuchh jaan jata
aur shayad sab Thik kar deta
magar phir bezar ho kar so gaya
meri qismat ka sitara
Nazm
Jab sitara thak gaya
Tanveer Anjum