mere chaaron or makanon se aati aawazen
saDkon par lahraati an-ginat motor-caren
schoolon se chhanti zinda hansti bhin bhin
lamppost se bahti jagmag dhaara
hanste logon se bharpur dokanen saDken
aKHbaron mein chhapne wali unche insanon ki baaten
jo barson mein pure honge aise mansubon ki baaten kahti hain
hum sab zinda hain
arse tak zinda rahna hai
agle bis baras mein basti
apni pakki saDken le kar
jangal ke kone kone mein
basti ka mahfuz tasawwur pahuncha degi lekin jangal
saDken banne se pahle hi
jangal ka qanun uThae aa jata hai
basti jangal ban jati hai
sab zinda hain
basti jangal
arse tak zinda rahna hai
basti jangal
Nazm
Jab jangal basti mein aaya
Fazl Tabish