KHastagi shahr-e-tamanna ki na puchh
jis ki buniyaadon mein
zalzale mauj-e-tah-e-ab se hain
dekh ummid ke nashshe se ye bojhal aankhen
dekh sakti hain jo
aainda ka suraj zinda
dhup ke pyale mein
zist ki hariyali
zard chehre pe ye kaisa hai pareshan lakiron ka hujum
aur kyun KHauf ki bad-shakl pachhal-pai koi
tujhe bahon mein jakaDne ko hai
zalzale nind se bedar hua chahte hain kya' to kya
chhoD bhi shahr tamanna ka KHayal
dekh ummid ke nashe se ye bojhal aankhken
shahr mismar kahan hota hai
shahr aasar-e-qadima mein badal jaega
Nazm
Jab binai sawan ne churai ho
Saeed Ahmad