suraj ka zirah-baktar
chamka to main ghabraya
TuTi hui khiDki se
lahraata hua neza
kaunde ki tarah aaya
main dard se chillaya
honTon ne paDhe mantar
simab si poron ne
ek poTli abrak ki
chhiDki mere chehre par
aur kirnon ka ek chhinTa
mara meri aankhon par
aankhen meri chundhyain
kuchh bhi na nazar aaya
jab aankh khuli meri
dekha ki har ek jaanib
zartar si kirnon ka
ek zard samundar tha
aur zard samundar mein
chandi ki pahaDi par
main peD tha sone ka
shaKHon mein meri har su
jhankar thi patton ki
uDti hui chiDiyon ki
ya aag ki Daliyon ki
ek Dar si aai thi
aur mujh mein samai thi
qadmon ke tale mere
zanjir thi lamhon ki
mere zirah-baktar se
jo kaunda lapakta tha
taron ke jharokon tak
pal bhar mein pahunchta tha
main jism ke marqad se
bahar bhi tha andar bhi
main KHud hi pahaDi tha
aur KHud hi samundar bhi
Nazm
Jab aankh khuli meri
Wazir Agha