اردو हिंदी
Jawed ke nam | Shaahi Shayari
jawed ke nam

Nazm

Jawed ke nam

Allama Iqbal

;

dayar-e-ishq mein apna maqam paida kar
naya zamana nae subh o sham paida kar

KHuda agar dil-e-fitrat-shanas de tujh ko
sukut-e-lala-o-gul se kalam paida kar

uTha na shishagaran-e-farang ke ehsan
sifal-e-hind se mina o jam paida kar

main shaKH-e-tak hun meri ghazal hai mera samar
mere samar se mai-e-lala-fam paida kar

mera tariq amiri nahin faqiri hai
KHudi na bech gharibi mein nam paida kar