aa mere andar aa
pawitra mahran ke pani
ThanDe miThe maTyale pani
maTiyale jiwan rang jal
dho de sara krodh kapaT
shahron ki dishaon ka sab chhal
yun sinch mujhe kar de meri miTTi jal-thal
tere tal ki kali chikni miTTi se
mathe par tilak lagaun
hath joD DanDwat karun
o man ke bhed se gahre
haule haule sans khinchte
om saman amar
o mahan sagar
main utri tere ThanDe jal mein kamar kamar
tere ThanDe miThe mehrban pani se munh dho lun
aur dho lun aansu
khaare aansu
tere miThe pani se dho lun
o mahan maTiyale sagar aa
sun meri katha
main baDi abhagan bhag mera
bedard hath mein raha sada
TuTa mera miTTi se nata
kaise TuTa
ek aandhi baDi bhayanak lal chuDail
mujhe le uDi
uTha kar paTka us ne kahan se kahan
tere charnon mein sis jhukati ek akeli jaan
mere sath mera koi mit nahin
koi rang rup koi prit nahin
meri an-gaDh phiki murjhati boli mein koi sangit nahin
meri piDhiyon ke bite yug mere sath nahin
bas ek nirdai dharam hai
jis ka bharam nahin
wo dharam jo kahta hai miTTi meri bairan hai
jo mujhe sikhata hai sagar mera dushman hai
han dur kahin
aakash ki unchai se pare
rahta hai KHuda
itna rukha
miTTi se joD nahin jis ka
sab nate prit aur bair ke us ki karan main kaise joDun
main miTTi mera janam miTTi
main miTTi ko kaise chhoDun
o maTiyale balwan maha-sagar
main ukhDi dharti se
bhagwan mera ras sukh gaya
phir bhi sunti hun apne lahu mein bite samay ki narm dhamak
wo samay jo mere janam se pahle bit gaya
mere kanon mein
ek shor hai jhar-jhar bahte naddi nalon ka
aur koi mahak baDi be-kal hai
jo gunj bani meri chhati se Takraati hai
o mahan sagar
jiwan-ras de
apne tal mein jal-pauda ban kar jaD lene de
sada jiye
o mahan sagar sindhu
tu sada jiye
aur jien tere pani mein phisalti machhliyan
shant sukhi yunhi
tere pani mein naw khete
tere baalak sada jien
o palan-haar hamare
dharti ke rakhwale
ann-data
teri dharti
narm retili mehrban sindh ki dharti
sada jiye
Nazm
Jap
Fahmida Riaz