ruThna tha kise manana tha
waqt ke sath gungunana tha
lahr dariya ke sath rahti hai
bijli baadal mein hai ajab rishta
sans ki Dor ban ke jism ke sath
ruh har lamha hai rawani mein
khelti hai wo aag pani mein
waqt ki baat hai alag jaanan
husn saughat hai alag jaanan
phul se ruThti hai kab KHushbu
raat se ruThta hai kab jugnu
nain se dur kab raha jadu
hanste hanste nikal gae aansu
yun to har shai ko hai fana yani
rah gaya apna muddaa yani
is tarah se koi nahin jata
jis tarah ruTh kar gae jaanan
Nazm
Jaanan
Khursheed Akbar