اردو हिंदी
Jaan majbur hun | Shaahi Shayari
jaan majbur hun

Nazm

Jaan majbur hun

Tanveer Monis

;

ek taraf tere lab
teri aankhon mein jalte charaghon ki lau

tere aariz pe kirnon ka baDhta hujum
tera jhilmil badan teri rangin saba aur un ke siwa

sare rangon ki maut
sab sadaon ke sakte pe girya-kunan

bas teri ek sada
aur ek war aur zahr ka ek jam

dusri samt hain
raushni rang kirnen sadaen adaen badan hi badan

ek tere siwa
lakh rangin lab

aur aankhon mein jalte hazaron diye
kuchh taqaze bhi aur chand mahrumiyan

man mein gundhi hui chand majburiyan
ek taraf war aur zahr ka ek jam

dusri samt kirnen adaen badan hi badan
faisla saf hai

jaan majbur hun
main na suqraat hun

aur na mansur hun