bachcha lalTain ki raushni mein paDh raha hai
buDha apni duaen banT raha hai
mujhe tumhaare ilzam par apni safai pesh karna hai
koi kahta hai
alfaz meri giraft se bahar hain
soch meri giraft se bahar hai
dil meri giraft se bahar hai
koi kahta hai
meri nigahen diwani malum hoti hain
apni safai pesh karna mere bas se bahar hai
mujh par gahre samundar mein tairne ka ilzam hai
mujh par ghane jangal mein rasta DhunDne ka ilzam hai
mujh par kaDi dhup mein jaan dene ka ilzam hai
bachcha aaj ka sabaq paDh chuka hai
buDha apni duaen banT chuka hai
tum ilzam laga kar kis intizar mein ho
bachche ki lalTain bujhai nahin ja sakti
buDhe ki duaen churai nahin ja saktin
main apne alfaz
apni jaan ke ewaz
bech nahin sakti
Nazm
Jaan ke ewaz
Tanveer Anjum