tumhaari yaad ki KHushbu lagai thi main ne
tamam raat mere jism-o-jaan mahakte rahe
surur-e-hijr ke mausam mein bhi na mand paDa
hawas zabt ke aalam mein bhi bahakte rahe
dayar-e-KHwab mein kuchh tairan-e-KHush-awaz
tumhaare aane ki ummid mein chahakte rahe
nawah-e-dil mein kai raushni bhare sae
wufur-e-shauq se gate rahe lahakte rahe
main tum se dur tha lekin tumhaare hath mein tha
guzishta shab main kisi aur kaenat mein tha
Nazm
Jagti aankhon ka KHwab
Rehman Faris