jab mah aghan ka Dhalta ho tab dekh bahaaren jaDe ki
aur hans hans pus sambhalta ho tab dekh bahaaren jaDe ki
din jaldi jaldi chalta ho tab dekh bahaaren jaDe ki
aur pala barf pighalta ho tab dekh bahaaren jaDe ki
chilla gham Thonk uchhalta ho tab dekh bahaaren jaDe ki
tan Thokar mar pichhaDa ho aur dil se hoti ho kushti si
thar-thar ka zor ukhaDa ho bajti ho sab ki battisi
ho shor phaphu hu-hu ka aur dhum ho si-si si-si ki
kalle pe kalla lag lag kar chalti ho munh mein chakki si
har dant chane se dalta ho tab dekh bahaaren jaDe ki
har ek makan mein sardi ne aa bandh diya ho ye chakkar
jo har dam kap-kap hoti ho har aan kaDakaD aur thar-thar
paiThi ho sardi rag rag mein aur barf pighalta ho patthar
jhaD-bandh mahawaT paDti ho aur tis par lahren le le kar
sannaTa baw ka chalta ho tab dekh bahaaren jaDe ki
har chaar taraf se sardi ho aur sehn khula ho koThe ka
aur tan mein nima shabnam ka ho jis mein KHas ka itr laga
chhiDkaw hua ho pani ka aur KHub palang bhi ho bhiga
hathon mein piyala sharbat ka ho aage ek farrash khaDa
farrash bhi pankha jhalta ho tab dekh bahaaren jaDe ki
jab aisi sardi ho ai dil tab roz maze ki ghaten hon
kuchh narm bichhaune maKHmal ke kuchh aish ki lambi raaten hon
mahbub gale se lipTa ho aur kuhni, chuTki, laten hon
kuchh bose milte jate hon kuchh miThi miThi baaten hon
dil aish-o-tarab mein palta ho tab dekh bahaaren jaDe ki
ho farsh bichha ghaalichon ka aur parde chhoTe hon aa kar
ek garm angiThi jalti ho aur shama ho raushan aur tis par
wo dilbar, shoKH, pari, chanchal, hai dhum machi jis ki ghar ghar
resham ki narm nihaali par sau naz-o-ada se hans hans kar
pahlu ke bich machalta ho tab dekh bahaaren jaDe ki
tarkib bani ho majlis ki aur kafir nachne wale hon
munh un ke chand ke TukDe hon tan un ke rui ke gale hon
poshaken nazuk rangon ki aur oDhe shaal do-shaale hon
kuchh nach aur rang ki dhumen hon aish mein hum matwale hon
piyale par pyala chalta ho tab dekh bahaaren jaDe ki
har ek makan ho KHalwat ka aur aish ki sab tayyari ho
wo jaan ki jis se ji ghash ho sau naz se aa jhankari ho
dil dekh 'nazir' us ki chhab ko har aan ada par wari ho
sab aish muhayya ho aa kar jis jis arman ki bai ho
jab sab arman nikalta ho tab dekh bahaaren jaDe ki
Nazm
JaDe ki bahaaren
Nazeer Akbarabadi