kitni hi soi dopahron mein
kitni hi jalti raaton mein
har KHwab adhura
muD muD kar
jaane kya DhunDa karta hai
kuchh bhige pal
bojhal qadmon ki chap liye
hairan pareshan
puchhte hain
ye moD kahan tak jata hai
kuchh be-hangam si taswiren
dhundli dhundli
be-Dol se kuchh lambe sae
viran humakti tanhai
ummid ke raushan-danon se
kya manzar dekha karti hai
sannaTe ke is shor mein bhi
mauhum si ek ummid kabhi
karwaT karwaT KHud se puchhe
aawaz abhi jo gunji thi
wo bang-e-jaras thi
ya koi
pazeb kahin Takrai hai
Nazm
Iztirab
Salman Ansari