kaise main bhi bhul jaun
zindagi se apna rabt-e-awwalin
ek dur uftada qarye ke qarib
ek junun afroz sham
nahr par shisham ke ashjar-e-buland
chandni mein in ki shaKHon ke tale
tere paiman-e-mohabbat ka wo izhaar-e-tawil
ruh ka izhaar the bose mere
jaise meri shairi mera amal
ruh ka izhaar kaise bhul jaun
kaise kar Dalun main jism-o-ruh ko
aaj be-ahang-o-nur
tu ki thi us waqt gum-nami ke ghaaron mein nihan
mere honTon hi ne di tujh ko najat
apni rahon par uTha laya tujhe
zinda-e-jawed kar Dala tujhe
jaise koi but-tarash
apne but ko zindagi ke nur se taban kare
is ko barg-o-bar dene ke liye
apne jism-o-ruh ko uryan kare
mere bose ruh ka izhaar the
ruh jo izhaar hi se zinda-o-tabinda hai
hai isi izhaar se hasil mujhe qurb-e-hayat
ruh ka izhaar kaise bhul jaun
Nazm
Izhaar
Noon Meem Rashid