اردو हिंदी
Iyyaka-nabodo wa iyyaka-nastain | Shaahi Shayari
iyyaka-nabodo wa iyyaka-nastain

Nazm

Iyyaka-nabodo wa iyyaka-nastain

Zehra Alvi

;

sochti hun
jalte bujhte KHeme the

tishnagi ki shiddat se
chhoTe chhoTe bachchon ke band hoti aankhen thin

ashqiya ka nargha tha
fath ke naqqare the

be-haya ishaare the
bibiyon ke bainon mein

sham ke dhundalke mein
sajda-gah pe sar rakh kar

aabidon ki zinat ne
hamd jab kiya hoga

arsh hil gaya hoga
sajda ro paDa hoga

sajda ro paDa hoga