اردو हिंदी
Ittifaq | Shaahi Shayari
ittifaq

Nazm

Ittifaq

Nida Fazli

;

hum sab
ek ittifaq ke

muKHtalif nam hain
mazhab

mulk
zaban

isi ittifaq ki an-ginat kaDiyan hain
agar paidaish se pahle

intiKHab ki ijazat hoti
to koi laDka

apne bap ke ghar mein paida hona pasand nahin karta