ubal raha hai tarannum chhalak rahi hai sharab
piyo piyo ki nae sal ki kiran phuTi
magar ye kaun hai har bar mujh se kahta hai
tera KHumar bhi jhuTa sharab bhi jhuTi
wo dekho bint-e-kalisa ki nilgun aankhen
jhuki jhuki si hain palken magar subu degi
ye chiKH han ye tamaddun ki ek hichki thi
isi dayar mein insaniyat lahu degi
magar lahu to Tapakta hai surKH Doron se
usi lahu mein sharabor hain lab-o-ruKHsar
magar ye kis ka lahu hai jo mujh se kahta hai
mere ubaal se baDhta hai zindagi ka waqar
sukun sabr qanaat najat taqdiren
ye borzai tamaddun ki istelahen hain
qadam uThe hain to manzil pe ja ke dam lenge
meri nigah mein duniya ki shahrahen hain
main jaanta hun ye tahzib ji nahin sakti
yahin hayat ka zaKHmi sukut TuTega
kaho kaho mere jaan-baz sathiyon se kaho
isi ufuq pe naya aaftab ubhrega
Nazm
Istiqbaal
Akhtar Payami