ishq ko ek nazar kafi hai
aagahi pahle se darkar nahin
dosti barson ki ham-raazi hai
jaldi-bazi ka ye bazar nahin
ho bhi sakti hai kabhi wo haalat
go ho muddat ka KHulus aur niyaz
ek lamha mein banati hai jo gat
pyari surat kabhi pyari aawaz
ghaur-o-fikr is ke sada hain ham-dast
milne-julne se hai paida hoti
garm-joshi ki hai mai se sarmast
dosti hai meri dekhi bhaali
aql ke us mein karishme dekho
kuchh bigaDti hai kuchh iThlati hai
jab pahunch jati hai us ki tah ko
tab ba-sad faKHr ye samjhati hai
na sune aur na hargiz dekhe
doston mein ho agar aib bhi aah
chahiye yun nazar-andaz kare
ki hawa bhi nahin goya aagah
ishq mein us ki kahan hai mohlat
kuchh bhi soche sune dekhe bhaale
kya bhala samjhen wo us ki haalat
us ki mai se jo na hun matwale
us ke asrar se ho kaun aagah
be-qarari kabhi mahwiyyat hai
KHub 'rasiKH' ne kaha hai wallah
ishq ek zor hai kaifiyyat hai
Nazm
Ishq-o-dosti
Azeemuddin Ahmad