jagte sote ye KHayal aaya
tujh ko socha to ye sawal aaya
tum kahan aur main kahan jaanan
fasle kyun hain darmiyan jaanan
yun mile hum ki mil nahin pae
phul hasrat ke khil nahin pae
barq par nama-bar sawar hua
dhup mein abr saya-dar hua
phir talluq ke tar TuT gae
hum pe sadme hazar TuT gae
bebasi ki ajib sham aai
zindagi misl-e-intiqam aai
phir teri did ki saadat ho
waqt ko id ki bashaarat ho
ghair mumkin hai is tarah hona
gham nahana hai dagh hai dhona
masala aa gaya hai pani ka
yani dariya ki be-zabani ka
qurbat-e-jaan ke mushk hote hi
ek samundar ke KHushk hote hi
dard-e-sahra nasib hai apna
ek wahshat raqib hai apna
silsila dur tak sarab ka hai
ishq mahi baghair aab ka hai
Nazm
Ishq mahi baghair aab
Khursheed Akbar