'mushir'-uncle! ye sab baaten adhuri hain 
jo main ne aap se ki thin 
jo mujh se aap ne ki hain 
magar chaliye 
abhi to jin ki botal 
aur aadhi sham baqi hai 
ye baaten phir se karte hain 
'mushir'-uncle! zamana ishq se baDh kar nahi hai 
jo kahe jo kuchh kare 
jo bhi dikhae 
ishq se baDh kar nahi hai 
ishq to KHud ek zamana hai 
ye pura ahd hai 
ek daur hai 
is daur mein kya kya nahi hota 
kabhi ye daur daur-e-ibtila hai 
aur kabhi ek sarKHushi 
waraftagi ka ahd-e-paiham hai 
'mushir'-uncle! kabhi mahbub ka jab nam aa jae 
to meri sans ki Dori mein 
girhen paDne lagti hain 
ye main aur aap donon jaante hain 
jis tarah jadu hai bar-haq 
ishq bar-haq hai 
zaminon aasmanon 
is jahan, baqi jahanon mein 
zaman-e-ishq bar-haq hai 
'mushir'-uncle hamare pas do hi raste hain 
masala ye hai 
ki donon raste ab 
ek hi jaanib se aate 
ek hi jaanib ko jate hain 
ki main aur aap donon jaante hain 
jis tarah jadu hai bar-haq 
ishq bar-haq hai!
        Nazm
Ishq ki taqwim mein
Haris Khaleeq

