dar ki rassiyon ke gulu-band gardan mein pahne hue
gane wale har ek roz gate rahe
payalen beDiyon ki bajate hue
nachne wale dhumen machate rahe
hum na is saf mein the aur na us saf mein the
raste mein khaDe un ko takte rahe
rashk karte rahe
aur chup chap aansu bahate rahe
lauT kar aa ke dekha to phulon ka rang
jo kabhi surKH tha zard hi zard hai
apna pahlu TaTola to aisa laga
dil jahan tha wahan dard hi dard hai
gulu mein kabhi tauq ka wahima
kabhi panw mein raqs-e-zanjir
aur phir ek din ishq unhin ki tarah
rasan-dar-gulu pa-ba-jaulan hamein
usi qafile mein kashan le chala
Nazm
Ishq apne mujrmon ko pa-ba-jaulan le chala
Faiz Ahmad Faiz