mujhe us generator ki talash hai
jo sayyaron ko bijli supply karta hai
aur jis ke current se mere cell raushan hote hain
main ne ek aadmi ke mathe par
ghurur-e-sajadgi ke gulab dekhe
wahan chhoTi inTon ki diwar par ism-e-siyaadat chamakta hai
phir hawa ne Tin ki chadaren gardanon par phenkin
maen nind se laDne lagin
bap aangan ko parwaz se rokte rahe
aur zamin ke niche maya ki degen sarakti rahin
bakriyon ne shor kiya
pahlauTi wala do
pahlauTi wala do
wo dekho isfanj ki andhi siDhiyon par
naKHun ke baad naKHun
safar safar safar
ghumte hue pahiye
TuTte hue break
ek inch mein hazar inch ghubar
aur school uniform
hum gear badalne se pahle hi
danger zone mein kyun daKHil ho jate hain
buDha driwer sochta hai
ranon ke cross par chehre ki haDDi kis KHatre ka nishan hai
Nazm
Isfanj ki andhi siDhiyon par
Rais Farogh