is waqt to yun lagta hai ab kuchh bhi nahin hai
mahtab na suraj, na andhera na sawera
aankhon ke darichon pe kisi husn ki chilman
aur dil ki panahon mein kisi dard ka Dera
mumkin hai koi wahm tha, mumkin hai suna ho
galiyon mein kisi chap ka ek aaKHiri phera
shaKHon mein KHayalon ke ghane peD ki shayad
ab aa ke karega na koi KHwab basera
ek bair na ek mehr na ek rabt na rishta
tera koi apna, na paraya koi mera
mana ki ye sunsan ghaDi saKHt gaDi hai
lekin mere dil ye to faqat ek hi ghaDi hai
himmat karo jine ko to ek umr paDi hai
Nazm
Is waqt to yun lagta hai
Faiz Ahmad Faiz