is se pahle
jitni iden guzri hain
har id se pahle
mere bachche
apni narm rupahli banhen
meri gardan mein jab Dal ke kahte the
hum eidi lene aae hain
wo KHushiyon se labrez munawwar ghaDiyan
kitni achchhi lagti thin jab
baDi baDi raqmon ko wo Thukraate the
aur baDe baDe tohfon par bhi wo
apne munh laTkate the
wo mujh se ruTh ke
apni ammi ke pahlu mein jate the
wo un ki chamkili chahat
wo un ke ruTh ke jaane ki
be-dard si hasrat
jab bhi karwaT leti hai
dil KHun ke aansu rota hai
aur ab ke hisar zindan mein
yun id hamari guzri hai
wo jhagDa karne wale
ruTh ke jaane wale bachche
mujh ko jail mein eidi dene aae hain
Nazm
Is se baDa dukh kya hoga
Safdar Saleem Sial