ye aankhen bilkul waisi hain
jaisi mere KHwab mein aati thin
peshani thoDi haT kar hai
par honTon par muskan ki banti miTti lahren waisi hain
aawaz ka zer-o-bam bhi bilkul waisa hai
aur hath jinhen mein KHwab mein bhi
chhuna chahun to kanp uThun
ye hath bhi bilkul waise hain
ye chehra bilkul waisa hai
par is par chhai KHamoshi kuchh an-dekhi
aur us chehre par sham zara si gahri hai
in shanon ka phailao thoDa kam hai
lekin qamat bilkul waisi hai
aur tum se mil kar mere dil ki haalat bilkul waisi hai

Nazm
Is chehre par sham zara si gahri hai
Sameena Raja