yahan ab ek tara
zard tara bhi nahin baqi
yahan ab aasman ke
chithaDon ki phaDphaDahaT bhi nahin baqi
yahan par sare suraj
tare suraj
tairte aflak se gir kar
kisi patal mein gum hain
yahan ab sare sayyaron ki gardish
ruk gai hai
yahan ab raushni hai
aur na aawazon ki larzish hai
na jismon mein hi harakat hai
yahan par ab faqat
ek KHamushi ki phaDphaDahaT hai
Nazm
Is ahd ki be-his saaton ke nam
Tabassum Kashmiri