اردو हिंदी
Irtiqa | Shaahi Shayari
irtiqa

Nazm

Irtiqa

Syed Mubarak Shah

;

KHak par ek bund lapki
bund jam kar lothDa

is lothDe mein haDDiyan
phir haDDiyon par mas aaya

mas jis par naqsh ubhre
naqsh ko jumbish mili

aur KHamushi ki kokh KHali ho gai
chiKH pahli guftugu thi

tham gai to is se phuTa qahqaha
jab thak ke TuTa qahqaha

tab aaKHiri aawaz siski
jumbishen sakit huin

aur qabr ki KHamoshiyon mein
naqsh pighle mas utra

haDDiyan uryan huin aur munhadim
lothDa gal saD ke phir se bund tha

aur bund dharti kha gai
hae mere ibtila ki intiha ibtida tak aa gai